Saturday 15 October 2011

Typical Bollywood ....


Top Desi Dialogues:

 Kuttay, Kammenay mai tumhe jaan se maar doonga

 Mai tumhara ehsaan zindagi bhar nahin bhuloonga

Itnay paisay tum kahan se laaye?

 Main tumharay bina mar jaa-oongi

 Bacchhhaaaaaooooo.....

Yeh anyay hai bhagwan

 Bataoo, heeray kahan hai

 Tum mere liye mar chuke ho.

Police mere peechay lagi hui hai

 Mai tumharay bachhe ki maa ban-nay waali hoon.

Ghar mein do javaan betiyan hain
lo...muh meetha kar lo

mein yeh shaadi nahin hone doongi

aaj pinky ka janam din hai

yeh aap kya kar rahen hai, bhai

Bhaiyya !!!!!!!

Ma, tum kitni acchi ho

Aaj mein bahut khush hoon (usually to be followed by a tragic turn of events)

Arre isse to tez bukhar hai

Nikal jaa mere ghar say...

Hatoe naa, log kiya kahengay

Khabardaar joe mujhay haat bhi lagaya

tumne apni maa ka dudh piya hai to...

jug jug jiyo beti/beta

gurkha, ise dhakke maarke bahar nikal do

Maine tumhe paal pos kar bada kiya...

Ab tumhari maa hamare kabze mein hai

Police ko tum jaise naujawanon par naaz hai

Driver, gaadi roko

Tum jaise gandi naali ke keede...

Ek baar mujhe maa keh kar pukaro beta

aur yeh bechari begunnah hai. That's all, your honor

tazeerat-e-hind, dafa 302 ke tahat, mulzim ko maut ki saza sunai jaati hai.

Mulzim ko Baa izzat bari kiya jata hai

Ab hum kisi ko muh dikhane ke layak nahin rahe

(hero/heroine opening their eyes on a hospital bed) Main kahan hun?

Kya isi din ke liye tujhe paida kiya tha?

"Maa main first class pass ho gaya hoon" followed by the jug jug jiyo beta

Yeh sauda tumhe bahut mehenga padega

Bhagwan, maine aaj tak tumse kuch nahin manga, aaj pehi baar kuch maang raha/rahi hoon...

KANOON KE HAATH BAHUT LUMBE HOTE HAIN



No comments:

Post a Comment